Shayari
takmil-e-aarzu se bhi hotaa hai gham kabhi
aisi duaa na maang jise bad-duaa kahein
ishq ke mazmun the jin mein vo risaale kyaa hue
ai kitaab-e-zindagi tere havaale kyaa hue
عشق کے مضموں تھے جن میں وہ رسالے کیا ہوئے
اے کتاب زندگی تیرے حوالے کیا ہوئے
इश्क़ के मज़मूँ थे जिन में वो रिसाले क्या हुए
ऐ किताब-ए-ज़िंदगी तेरे हवाले क्या हुए

takmil-e-aarzu se bhi hotaa hai gham kabhi
aisi duaa na maang jise bad-duaa kahein
hindu se puchhiye na musalmaan se puchhiye
insaaniyat kaa gham kisi insaan se puchhiye
'sahar' ab hogaa meraa zikr bhi raushan-dimaaghon mein
mohabbat naam ki ik rasm-e-bejaa chhoD di main ne
hamein tanhaaiyon mein yuun to kyaa kyaa yaad aataa hai
magar sach puchhiye to ek chehraa yaad aataa hai
hosh-mandi se jahaan baat na banti ho 'sahar'
kaam aise mein bahut be-khabari aati hai
phir khule ibtidaa-e-ishq ke baab
us ne phir muskuraa ke dekh liyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa