Shayari
yahi mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yaa-rab
ki unhein bhi chain miltaa jo mujhe qaraar hotaa
A
Adeeb Saharanpuriraahat ki justuju mein khushi ki talaash mein
gham paalti hai umr-e-gurezaan nae nae
راحت کی جستجو میں خوشی کی تلاش میں
غم پالتی ہے عمر گریزاں نئے نئے
राहत की जुस्तुजू में ख़ुशी की तलाश में
ग़म पालती है उम्र-ए-गुरेज़ाँ नए नए
yahi mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yaa-rab
ki unhein bhi chain miltaa jo mujhe qaraar hotaa
ik khalish ko haasil-e-umr-e-ravaan rahne diyaa
jaan kar ham ne unhein naa-mehrbaan rahne diyaa
hazaar baar iraada kiye baghair bhi ham
chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf
manzilein na bhuleinge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hi kab hai paanv thakne se
apne apne hauslon apni talab ki baat hai
chun liyaa ham ne unhein saaraa jahaan rahne diyaa
baandh kar ahd-e-vafaa koi gayaa hai mujh se
ai miri umr-e-ravaan aur zaraa aahista
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hamaari maazarat ai gham ki muskuraa rahe hain
ham apnaa haath tiri pusht se haTaa rahe hain
itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru
insaan gham-e-hayaat mein jaltaa dikhaai de
jhuTi mahfil hai jhuTi tanhaai
ik tire 'ishq kaa bharam sachchaa