Shayari
de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
ehsaan-e-rab mohabbatein itni milin 'adil'
is umr-e-mukhtasar mein na lauTaa sakeinge ham
احسان رب محبتیں اتنی ملیں عدیلؔ
اس عمر مختصر میں نہ لوٹا سکیں گے ہم
एहसान-ए-रब मोहब्बतें इतनी मिलीं 'अदील'
इस उम्र-ए-मुख़्तसर में न लौटा सकेंगे हम

de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
kahaan ke maahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parvardigaar kartaa hai
miraa dil TuuT jaane par miyaan hairat bhalaa kaisi
agar rasta badal jaae sitaare TuuT jaate hain
tu mujh se duur chali jaae ain mumkin hai
magar vo aks jo meri nazar mein rahtaa hai
judaa jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'
main zindagi mein vo daane piro nahin saktaa
aazaadiyon ke shauq o havas ne hamein 'adil'
ik ajnabi zamin kaa qaidi banaa diyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa
husn aur ishq donon mein tafriq hai par inhin donon pe meraa imaan hai
gar khudaa ruuTh jaae to sajde karun aur sanam ruuTh jaae to main kyaa karun
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
tumhaaraa roz jo main sarf karti rahti huun
tumhein gumaan na ho tum miri mohabbat ho