Shayari
de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
teri jaanib aa rahaa huun ruuh ki taskin ko main
hasratein dil ki main duniyaa mein nikaal aayaa bahut
تیری جانب آ رہا ہوں روح کی تسکیں کو میں
حسرتیں دل کی میں دنیا میں نکال آیا بہت
तेरी जानिब आ रहा हूँ रूह की तस्कीं को मैं
हसरतें दिल की मैं दुनिया में निकाल आया बहुत

de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
kahaan ke maahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parvardigaar kartaa hai
miraa dil TuuT jaane par miyaan hairat bhalaa kaisi
agar rasta badal jaae sitaare TuuT jaate hain
tu mujh se duur chali jaae ain mumkin hai
magar vo aks jo meri nazar mein rahtaa hai
judaa jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'
main zindagi mein vo daane piro nahin saktaa
aazaadiyon ke shauq o havas ne hamein 'adil'
ik ajnabi zamin kaa qaidi banaa diyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye dil ki raah chamakti thi aaine ki tarah
guzar gayaa vo use bhi ghubaar karte hue
Dar to nahin magar kahin patton ke shor se
dil ko gumaan hai aaj koi haadisa na ho
ghar ghair ke jo yaar miraa raat se gayaa
ji siine se nikal gayaa dil haat se gayaa
is dil ko kisi dast-e-adaa-sanj mein rakhnaa
mumkin hai ye mizaan-e-kam-o-besh jalaa de