Shayari
ham kahaan honge na jaane is tamaashaa-gaah mein
kis tamaashaai se pahle kis tamaashaai ke baad
daagh dil ke hain salaamat to koi baat nahin
tirgi laakh sahi subh kaa imkaan rakhnaa
داغ دل کے ہیں سلامت تو کوئی بات نہیں
تیرگی لاکھ سہی صبح کا امکاں رکھنا
दाग़ दिल के हैं सलामत तो कोई बात नहीं
तीरगी लाख सही सुब्ह का इम्काँ रखना

ham kahaan honge na jaane is tamaashaa-gaah mein
kis tamaashaai se pahle kis tamaashaai ke baad
na jaane is qadar kyuun aap divaane se Darte hain
charaagh-e-anjuman hain aur parvaane se Darte hain
kahaan thi manzil-e-maqsud apni qismat mein
kisi ki raahguzar bhi mili hai mushkil se
ham to us vaqt samajhte hain ki aati hai bahaar
dasht se jab koi jhankaar si aa jaati hai
bahaar aaegi gulshan mein to daar-o-gir bhi hogi
jahaan ahl-e-junun honge vahaan zanjir bhi hogi
ye irtiqaa-e-bashar ki hai kaun si manzil
ki is ki zad mein khudaa bhi hai kaaenaat bhi hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
nikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
mohabbat kaa tum se asar kyaa kahun
nazar mil gai dil dhaDakne lagaa
hasinon ki donon adaaein hain dilbar
kisi ki hayaa to sharaarat kisi ki
yaadon ke nasheman ko jalaayaa to nahin hai
ham ne tujhe is dil se bhulaayaa to nahin hai