Shayari
sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
dil kaa dukh jaanaa to dil kaa masala hai par hamein
us kaa hans denaa hamaare haal par achchhaa lagaa
دل کا دکھ جانا تو دل کا مسئلہ ہے پر ہمیں
اس کا ہنس دینا ہمارے حال پر اچھا لگا
dil kā dukh jaanā to dil kā mas.ala hai par hameñ
us kā hañs denā hamāre haal par achchhā lagā

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
TuuTaa to huun magar abhi bikhraa nahin 'faraaz'
mere badan pe jaise shikaston kaa jaal ho
'faraaz' ishq ki duniyaa to khub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
judaaiyaan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hain
zindagi teri ataa thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tiraa ehsaan jaanaan
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
miyaan baazaar ko sharminda karnaa kyaa zaruri hai
kahin is daur mein tahzib ke zevar badalte hain
jab tujhe bhulnaa chaahaa dil ne
ik nae gham ki sazaa di ham ne
buton mein koi bhalaai bhi hai sivaae sitam
buraa ho teraa dil-e-naa-sazaa kidhar aayaa
dil ki baatein dusron se mat kaho luT jaaoge
aaj kal izhaar ke dhandhe mein hai ghaaTaa bahut