Shayari
na jaane aaj ye kis kaa khayaal aaya hai
khushi kaa rang liye har malaal aaya hai
vo meri raah mein kaanTe bichhaae main lekin
usi ko pyaar karun us pe e'tibaar karun
وہ میری راہ میں کانٹے بچھائے میں لیکن
اسی کو پیار کروں اس پہ اعتبار کروں
वो मेरी राह में काँटे बिछाए मैं लेकिन
उसी को प्यार करूँ उस पे ए'तिबार करूँ

na jaane aaj ye kis kaa khayaal aaya hai
khushi kaa rang liye har malaal aaya hai
kyuun hamaare saans bhi hote hain logon par giraan
ham bhi to ik umr le kar is jahaan mein aae the
kis ko bataaein ab ki na chal kar tamaam umr
ham ne khud apne aap mein kitnaa safar kiyaa
tu mayassar thaa to dil mein the hazaaron armaan
tu nahin hai to har ik samt ajab rang-e-malaal
ajiib vahshatein hisse mein apne aai hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paaein ham
ab ye hogaa shaayad apni aag mein khud jal jaaeinge
tum se duur bahut rah kar bhi kyaa paayaa kyaa paaeinge
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa
tumhaare gham ki udaasi qalil karte hue
main ji rahaa huun mohabbat tavil karte hue
bandishein ishq mein duniyaa se niraali dekhein
dil taDap jaae magar lab na hilaae koi