Shayari
dil ne lagaa diyaa hai jo ik kaam se mujhe
har dam laDaai rahti hai aaraam se mujhe
zakhmon ko ashk-e-khun se sairaab kar rahaa huun
ab aur bhi tumhaaraa chehra khilaa rahegaa
زخموں کو اشک خوں سے سیراب کر رہا ہوں
اب اور بھی تمہارا چہرہ کھلا رہے گا
ज़ख़्मों को अश्क-ए-ख़ूँ से सैराब कर रहा हूँ
अब और भी तुम्हारा चेहरा खिला रहेगा

dil ne lagaa diyaa hai jo ik kaam se mujhe
har dam laDaai rahti hai aaraam se mujhe
jaantaa huun in dinon kaisaa hai dariyaa kaa mizaaj
is liye saahil se thoDaa faasla rakhtaa huun main
apne hi aks kaa chakkar to nahin chaaron taraf
ki nazar aate hain ab khud ko hamin chaaron taraf
zehn par zor bhi Daalo to na yaad aauun main
is tarah parda-e-nisyaan mein chhupaa lo mujh ko
chaDhaa huaa thaa vo dariyaa agar hamaare liye
to dekhte hi rahe kyuun utar nahin gae ham
daaman ko zaraa jhaTak to dekho
duniyaa hai kuchh aur shai nahin hai
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
khuli zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir
hazaar bhed chhupaa rakkhe the khamoshi mein
chashme ki tarah phuTaa aur aap hi bah niklaa
rakhtaa bhalaa main kab tak aankhon mein nihaan paani
tire is phuul se chehre ne ab ke
mire zakhmon ko mahkaayaa bahut hai