Shayari
mire habib miri muskuraahaTon pe na jaa
khudaa-gavaah mujhe aaj bhi tiraa gham hai
kahin ye apni mohabbat ki intihaa to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai
کہیں یہ اپنی محبت کی انتہا تو نہیں
بہت دنوں سے تری یاد بھی نہیں آئی
कहीं ये अपनी मोहब्बत की इंतिहा तो नहीं
बहुत दिनों से तिरी याद भी नहीं आई

mire habib miri muskuraahaTon pe na jaa
khudaa-gavaah mujhe aaj bhi tiraa gham hai
ab na kaaba ki tamannaa na kisi but ki havas
ab to zinda huun kisi markaz-e-insaan ke liye
dil ke sunsaan jaziron ki khabar laaegaa
dard pahlu se judaa ho ke kahaan jaaegaa
zindagi ke vo kisi moD pe gaahe gaahe
mil to jaate hain mulaaqaat kahaan hoti hai
har ek baat ke yuun to diye javaab us ne
jo khaas baat thi har baar hans ke Taal gayaa
dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kaisi 'ajib hai ye mohabbat ki zindagi
do pattharon mein jaan paDi aur mar gae