Shayari
be-sabab kuchh bhi nahin hotaa hai yaa yuun kahiye
aag lagti hai kahin par to dhuaan hotaa hai
yahin se raah koi aasmaan ko jaati thi
khayaal aayaa hamein siDhiyaan utarte hue
یہیں سے راہ کوئی آسماں کو جاتی تھی
خیال آیا ہمیں سیڑھیاں اترتے ہوئے
यहीं से राह कोई आसमाँ को जाती थी
ख़याल आया हमें सीढ़ियाँ उतरते हुए

be-sabab kuchh bhi nahin hotaa hai yaa yuun kahiye
aag lagti hai kahin par to dhuaan hotaa hai
subh-saveraa daftar biivi bachche mahfil nindein raat
yaar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasaani par
phislan ye kinaaron pa ye Thahraav nadi kaa
sab saaf ishaare hain ki gahraai bahut hai
hansnaa ronaa paanaa khonaa marnaa jiinaa paani par
paDhiye to kyaa kyaa likkhaa hai dariyaa ki peshaani par
khayaal aayaa hamein bhi khudaa ki rahmat kaa
sunaai jab bhi paDi hai azaan pinjre mein
har-dam badan ki qaid kaa ronaa fuzul hai
mausam sadaaein de to bikhar jaanaa chaahiye
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne