Shayari
tamaam umr guzar jaati hai kabhi pal mein
kabhi to ek hi lamha basar nahin hotaa
A
Akhtar Amaanbadan ke shahar mein aabaad ik darinda hai
agarche dekhne mein kitnaa khush-libaas bhi hai
بدن کے شہر میں آباد اک درندہ ہے
اگرچہ دیکھنے میں کتنا خوش لباس بھی ہے
बदन के शहर में आबाद इक दरिंदा है
अगरचे देखने में कितना ख़ुश-लिबास भी है
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
baghair-e-jism bhi hai jism kaa ehsaas zinda
ye khushbu baanTne vaali havaaein bhi qayaamat
ek khushbu thi jo malbus pe taabinda thi
ek mausam thaa mire sar pe jo tufaani thaa