Shayari
kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
gham-e-dil kaa asar har bazm mein hai
sab afsaane us afsaane se nikle
غم دل کا اثر ہر بزم میں ہے
سب افسانے اس افسانے سے نکلے
ग़म-ए-दिल का असर हर बज़्म में है
सब अफ़्साने उस अफ़्साने से निकले

kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
abhi bahaar ne sikhi kahaan hai dil-jui
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye daastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tiri kyuun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
dushmani ko buraa na kah ai dost
dekh kyaa dosti hai ghaur se dekh
ajiib bhul-bhulayyaan hai shaahraah-e-hayat
bhaTakne vaale yahaan justuju ki baat na kar
bachaa bachaa ke guzarnaa hai daaman-e-hasti
sharik-e-khaar bhi kuchh jashn-e-nau-bahaar mein hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
apni tanhaai ko baazaar samajhte rahe ham
zindagi tujh ko kharidaar samajhte rahe ham
ik rivaayat hai jo sadiyon se chali aati hai
ik taraf ishq hai aur ek taraf duniyaa hai
lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hotaa
hamaare daur mein aansu zabaan nahin hotaa