Shayari
aas Duubi to dil huaa raushan
bujh gayaa dil to dil ke daagh jale
koi ilaaj-e-gham-e-zindagi bataa vaaiz
sune hue jo fasaane hain phir sunaa na mujhe
کوئی علاج غم زندگی بتا واعظ
سنے ہوئے جو فسانے ہیں پھر سنا نہ مجھے
कोई इलाज-ए-ग़म-ए-ज़िंदगी बता वाइज़
सुने हुए जो फ़साने हैं फिर सुना न मुझे

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
meri maanind khud-nigar tanhaa
ye suraahi mein phuul nargis kaa
raat bhi chaand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusaar mujhe
dard-e-dil chhoD jaaiye so kahaan
apni baahar to yahaan guzar hi nahin