Shayari
tujh se judaa hue to tiri yaad baDh gai
aazaad ho ke qaid ki mi'aad baDh gai
thaa jis pe naaz kabhi ab vo aarzu na rahi
niyaaz-e-'ishq ki pahli si aabru na rahi
تھا جس پہ ناز کبھی اب وہ آرزو نہ رہی
نیاز عشق کی پہلی سی آبرو نہ رہی
था जिस पे नाज़ कभी अब वो आरज़ू न रही
नियाज़-ए-'इश्क़ की पहली सी आबरू न रही

tujh se judaa hue to tiri yaad baDh gai
aazaad ho ke qaid ki mi'aad baDh gai
tu khvaab hi mein sahi aa ke khud javaab to de
bujhi bujhi si miri aarzu ko aab to de
na chheD ai shaikh ham yunhi bhale chal raah lag apni
tujhe to biviyaan sujhi hain ham bezaar baiThe hain
vo bulaate to hain mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhi na baDh jaae ki jaae na bane
miri 'aashiqi sahi be-asar tiri dilbari ne bhi kyaa kiyaa
vahi main rahaa vahi be-dili vahi rang-e-lail-o-nahaar hai
vo kahte hain kuchh der hai faisle mein
ki 'ushshaaq ki 'arziyaan aur bhi hain
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
kaise tum bhuul gae ho mujhe aasaani se
ishq mein kuchh bhi to aasaan nahin hotaa hai