Shayari
yuun to qadam qadam pe khudaa sainkaDon mile
banda na mil sakaa koi bandon ke shahr mein
gham-gusaari pyaar hamdardi vafaa
ye dukaanein shahr ke baahar lagaa
غم گساری پیار ہمدردی وفا
یہ دکانیں شہر کے باہر لگا
ग़म-गुसारी प्यार हमदर्दी वफ़ा
ये दुकानें शहर के बाहर लगा

yuun to qadam qadam pe khudaa sainkaDon mile
banda na mil sakaa koi bandon ke shahr mein
us 'qamar' ko hai khud ab apne hi chehre ki talaash
jis ko duniyaa ne kahaa aaj kaa gyaani hai yahi
jal-bujhi hogi koi aag kisi din us mein
be-sabab hi to nahin daagh 'qamar' mein aayaa
zabt-e-gham kaa mire andaaza bhalaa kyaa hotaa
main agar dasht na hotaa bhi to dariyaa hotaa
barg-e-aavaara ko ab apnaa pata yaad nahin
kyaa huaa tez havaaon ki paziraai mein
mire hi hisse mein azmat salib-o-daar ki thi
mujhe hi ahd kaa apne rasul honaa thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-o-alam bhi hain tum se khushi bhi tum se hai
navaa-e-soz mein tum ho sadaa-e-saaz mein tum
khugar-e-lazzat-e-aazaar thaa itnaa 'aatish'
dard bhi maangaa to pahle se sivaa maangaa thaa
dekhaa na tujhe ai rab ham ne haan duniyaa teri dekhi hai
saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla naari bhi