Shayari
kabhi mandir kabhi masjid pe hai is kaa baseraa
dharam insaaniyat kaa bas kabutar jaantaa hai
jab vafaa hi nahin zamaane mein
ishq sar par savaar kaun kare
جب وفا ہی نہیں زمانے میں
عشق سر پر سوار کون کرے
जब वफ़ा ही नहीं ज़माने में
इश्क़ सर पर सवार कौन करे

kabhi mandir kabhi masjid pe hai is kaa baseraa
dharam insaaniyat kaa bas kabutar jaantaa hai
der tak saath bhige ham us ke
ham ne yuun kaamyaab ki baarish
yuun to safar kiyaa hai kitne hi raaston par
lekin tire hi ghar kaa rasta pasand aayaa
kabhi miloge ye soch kar dil
hazaar sapne bunaa karegaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kisi ke honT par khili hansi ki main asiir huun
luTi hui mohabbaton ki dekh lo nazir huun
baad-e-tark-e-ulfat bhi yuun to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzri
tiri javaan umangon ko ho gayaa hai kyaa
Dari Dari si mohabbat mujhe pasand nahin
kahaan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhi to log taraste hain zindagi ke liye