Shayari
koi tohmat ho mire naam chali aati hai
jaise baazaar mein har ghar se gali aati hai
aankh jhapkin to itne arse mein
jaane kitne baras guzar jaaein
آنکھ جھپکیں تو اتنے عرصے میں
جانے کتنے برس گزر جائیں
आँख झपकीं तो इतने अर्से में
जाने कितने बरस गुज़र जाएँ

koi tohmat ho mire naam chali aati hai
jaise baazaar mein har ghar se gali aati hai
kahaan milaa main tujhe ye savaal baa'd kaa hai
tu pahle yaad to kar kis jagah ganvaayaa mujhe
andheri raat hai saaya to ho nahin saktaa
ye kaun hai jo mire saath saath chaltaa hai
mire mazaar pe aa kar diye jalaaegaa
vo mere baa'd miri zindagi mein aaegaa
kuchh tasaavir bol paDti hain
sab ki sab be-zabaan nahin hotin
jaan qarz hai so utaarte hain
ham umr kahaan guzaarte hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
ridaa-e-sang oDh kar na so gayaa ho kaanch bhi
harim-e-zakhm laazmi hai khair-o-shar ki jaanch bhi
ik bahaana hai tujhe yaad kiye jaane kaa
kab saliqa hai mujhe varna ghazal gaane kaa