Shayari
chup chup makaan raaste gum-sum niDhaal vaqt
is shahr ke liye koi divaanaa chaahiye
har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaae
ہر ایک بات کو چپ چاپ کیوں سنا جائے
کبھی تو حوصلہ کر کے نہیں کہا جائے
har ek baat ko chup-chāp kyuuñ sunā jaa.e
kabhī to hausla kar ke nahīñ kahā jaa.e

chup chup makaan raaste gum-sum niDhaal vaqt
is shahr ke liye koi divaanaa chaahiye
bachchon ke chhoTe haathon ko chaand sitaare chhune do
chaar kitaabein paDh kar ye bhi ham jaise ho jaaeinge
bahut mushkil hai banjaara-mizaaji
saliqa chaahiye aavaargi mein
kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
kahin zamin kahin aasmaan nahin miltaa
kahtaa hai koi kuchh to samajhtaa hai koi kuchh
lafzon se judaa ho gae lafzon ke maaani
yuun to qadam qadam pe hai divaar saamne
koi na ho to khud se ulajh jaanaa chaahiye
aziiz gar thaa ta'alluq to kis liye toDaa
jab ikhtilaaf kiyaa to mufaahamat kaisi
har taraf hain khaana-barbaadi ke manzar be-shumaar
kuchh Thikaana hai bhalaa is jazba-e-taamir kaa
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
didaar-e-zul-jalaal pe aamaada ho gayaa
kyaa hausla nigaah-e-dil-e-naa-tavaan kaa thaa
'alvi' khvaahish bhi thi baanjh
jazba bhi naa-mard milaa
kaam kyaa hai pa nahin chaahti himmat hargiz
ghair ke ghar se diyaa kijiye raushan apnaa