Shayari
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo jald aaeinge yaa der mein khudaa jaane
main gul bichhaaun ki kaliyaan bichhaaun bistar par
وہ جلد آئیں گے یا دیر میں خدا جانے
میں گل بچھاؤں کہ کلیاں بچھاؤں بستر پر
वो जल्द आएँगे या देर में ख़ुदा जाने
मैं गुल बिछाऊँ कि कलियाँ बिछाऊँ बिस्तर पर

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sahraa kaa koi phuul moattar to nahin thaa
thaa ek chhalaavaa koi manzar to nahin thaa
kuchh aap kaa gham kuchh gham-e-jaan kuchh gham-e-duniyaa
daaman mein mire phuul bhi hain khaar bhi khas bhi
hamein roko nahin ham ne bahut se kaam karne hain
kisi gul mein mahaknaa hai kisi baadal mein rahnaa hai