Shayari
chaand ko tum aavaaz to de lo
ek musaafir tanhaa to hai
sahraa kaa koi phuul moattar to nahin thaa
thaa ek chhalaavaa koi manzar to nahin thaa
صحرا کا کوئی پھول معطر تو نہیں تھا
تھا ایک چھلاوا کوئی منظر تو نہیں تھا
सहरा का कोई फूल मोअ'त्तर तो नहीं था
था एक छलावा कोई मंज़र तो नहीं था

chaand ko tum aavaaz to de lo
ek musaafir tanhaa to hai
hijr mein us nigaar-e-taabaan ke
lamha lamha baras hai kyaa kiije
tire visaal ki kab aarzu rahi dil ko
ki ham ne chaahaa tujhe shauq-e-be-sabab ke liye
husn aur ishq hain donon kaafir
donon mein ik jhagDaa saa hai
ham bhi kisi shirin ke liye khaana-badar the
farhaad rah-e-ishq mein tanhaa to na niklaa
jam bhi vahi daaraa bhi sikandar bhi vahi hai
ji kar bhi tiraa aur jo mar kar bhi tiraa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
aaj qaatil kaa gale par mire khanjar chamkaa
lillaahil-hamd ki meraa bhi muqaddar chamkaa
us gul ko bhejnaa hai mujhe khat sabaa ke haath
is vaaste lagaa huun chaman ki havaa ke haath
sar-e-khaamushi ye sajaavaTein usi rang-o-bu ki misaal hain
jo mahak ho qabr ke phuul mein jo chamak ho sham'-e-mazaar mein