Shayari
dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale
vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko
khatm hotaa hi nahin silsila tanhaai kaa
jaane kis darja masaafat mein hai Dhaali gai shab
ختم ہوتا ہی نہیں سلسلہ تنہائی کا
جانے کس درجہ مسافت میں ہے ڈھالی گئی شب
ख़त्म होता ही नहीं सिलसिला तन्हाई का
जाने किस दर्जा मसाफ़त में है ढाली गई शब

dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale
vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
taa-umr tiraa naqsh-e-farozaan rahe mujh mein
ik zakhm ki surat mire maathe pe ubhar jaa
kyaa kahun kitnaa fuzun hai tere divaane kaa dukh
ik taraf jaane kaa gham hai ik taraf aane kaa dukh
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vufur-e-gham se machal rahe the dil-e-hazin mein hazaar shikve
ye kyaa khabar thi ki vaqt-e-pursish sukut mein Duub jaaungaa main
yahaan pe aah-o-fughaan dard-o-gham kaa naam nahin
miraa kalaam hai ye 'mir' kaa kalaam nahin
aashuftagi azal se mire aab-o-gil mein hai
kul lazzat-e-hayaat gham-e-jaan-gusil mein hai