Shayari
jis bulandi se tu bhi na aae nazar
aisi shohrat ki ai maan du'aaein na de
us kaa ham se baat karnaa yaad karnaa pyaar karnaa
ik ghalat-fahmi thi jo ab duur hoti jaa rahi hai
اس کا ہم سے بات کرنا یاد کرنا پیار کرنا
اک غلط فہمی تھی جو اب دور ہوتی جا رہی ہے
उस का हम से बात करना याद करना प्यार करना
इक ग़लत-फ़हमी थी जो अब दूर होती जा रही है

jis bulandi se tu bhi na aae nazar
aisi shohrat ki ai maan du'aaein na de
ham pe ye raaz khulaa bhi to bahut der ke baa'd
asl kirdaar kahaani mein kisi aur kaa hai
paDe hain phike ye chaand taare bhi is ke aage
kahaan se laai ho tum ye husn-o-jamaal laDki
bulandiyon par zaraa takabbur se duur rahnaa
vagarna ye hi banegaa vajh-e-zavaal laDki
milaa hai husn to is par ghurur itnaa nahin achchhaa
milaa detaa hai miTTi mein khudaa maghrur chehron ko
rahe hain chaand-raaton mein bhi tanhaa
hamein khuddaariyaan mahngi paDi hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil mein jo mohabbat ki raushni nahin hoti
itni khubsurat ye zindagi nahin hoti
ifshaa-e-raaz-e-ishq mein go zillatein huiin
lekin use jataa to diyaa jaan to gayaa
hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkaar
ik mohabbat ke liye ek javaani kam hai
tamaam jism ko aankhein banaa ke raah tako
tamaam khel mohabbat mein intizaar kaa hai