Shayari
aao to mere sahn mein ho jaae raushni
muddat guzar gai hai charaaghaan kiye hue
zindagi ki haqiqat ajab ho gai
aaj kal ho rahi hai basar khvaab mein
زندگی کی حقیقت عجب ہو گئی
آج کل ہو رہی ہے بسر خواب میں
ज़िंदगी की हक़ीक़त अजब हो गई
आज कल हो रही है बसर ख़्वाब में

aao to mere sahn mein ho jaae raushni
muddat guzar gai hai charaaghaan kiye hue
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhulaa huaa huun Thokarein khaane ke baa'd bhi
yaad rakhnaa bhi ik ibaadat hai
kyuun na ham un kaa haafiza ho jaaein
hosh-o-havaas khone lagaa huun firaaq mein
tanhaaiyon ne aisaa muqaffal kiyaa mujhe
tamaam din ki mashaqqat-bhari takaan ke baad
tamaam raat mohabbat se phir jagaaun use
saveraa le ke aataa hai mire khvaabon ki taabirein
magar jab shaam hoti hai to un ki yaad aati hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
huaa yuun ki phir mujhe zindagi ne basar kiyaa
koi din the jab mujhe har nazaara hasin milaa
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai