Shayari
kahin suraj nazar aataa nahin hai
hukumat shahr mein ab dhund ki hai
gumaan kahtaa hai meraa ki ek din mujh par
tiri vafaa tiri chaahat kaa maan barsegaa
گمان کہتا ہے میرا کہ ایک دن مجھ پر
تری وفا تری چاہت کا مان برسے گا
गुमान कहता है मेरा कि एक दिन मुझ पर
तिरी वफ़ा तिरी चाहत का मान बरसेगा

kahin suraj nazar aataa nahin hai
hukumat shahr mein ab dhund ki hai
tumhaare ghar ke raste ki udaasi khatm ho jaae
mujhe ghar tak bulaane se tumhein kyaa farq paDtaa hai
Dubtaa huun to mujhe haath kai milte hain
kitni hasrat se kinaaron ki taraf dekhtaa huun
jo manzilon ke nishaanaat de rahi hain tumhein
hamaari guunj bhi shaamil hai in sadaaon mein
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge