Shayari
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
ajiib shor machaane lage hain sannaaTe
ye kis tarah ki khamoshi har ik sadaa mein hai
عجیب شور مچانے لگے ہیں سناٹے
یہ کس طرح کی خموشی ہر اک صدا میں ہے
अजीब शोर मचाने लगे हैं सन्नाटे
ये किस तरह की ख़मोशी हर इक सदा में है

sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
log kahte hain ki vo shakhs hai khushbu jaisaa
saath shaayad use le aae havaa dekhte hain
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
tu mire paas jab nahin hotaa
tujh se kartaa huun kis qadar baatein
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
kahin kahin to zamin aasmaan se unchi hai
ye raaz mujh pe khulaa siDhiyaan utarte hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil agar dil hai to vaabasta-e-gham bhi hogaa
nikhat-e-gul bhi kahin gul se judaa rahti hai
haTo kaandhe se aansu ponchh Daalo vo dekho rail-gaaDi aa rahi hai
main tum ko chhoD kar hargiz na jaataa gharibi mujh ko le kar jaa rahi hai
ehsaas baDhaa detaa hai har dard ki shiddat
mahsus karoge to kasak aur baDhegi