Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
haTo kaandhe se aansu ponchh Daalo vo dekho rail-gaaDi aa rahi hai
main tum ko chhoD kar hargiz na jaataa gharibi mujh ko le kar jaa rahi hai
ہٹو کاندھے سے آنسو پونچھ ڈالو وہ دیکھو ریل گاڑی آ رہی ہے
میں تم کو چھوڑ کر ہرگز نہ جاتا غریبی مجھ کو لے کر جا رہی ہے
हटो काँधे से आँसू पोंछ डालो वो देखो रेल-गाड़ी आ रही है
मैं तुम को छोड़ कर हरगिज़ न जाता ग़रीबी मुझ को ले कर जा रही है

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
jo haadisa ki mere liye dardnaak thaa
vo dusron se sun ke fasaana lagaa mujhe
khushi meri gavaara thi na qismat ko na duniyaa ko
so main kuchh gham baraa-e-khaatir-e-ahbaab uThaa laai