Shayari
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
ghalat-ravi ko tiri main ghalat samajhtaa huun
ye bevafaai bhi shaamil miri vafaa mein hai
غلط روی کو تری میں غلط سمجھتا ہوں
یہ بے وفائی بھی شامل مری وفا میں ہے
ग़लत-रवी को तिरी मैं ग़लत समझता हूँ
ये बेवफ़ाई भी शामिल मिरी वफ़ा में है

sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
log kahte hain ki vo shakhs hai khushbu jaisaa
saath shaayad use le aae havaa dekhte hain
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
tu mire paas jab nahin hotaa
tujh se kartaa huun kis qadar baatein
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
kahin kahin to zamin aasmaan se unchi hai
ye raaz mujh pe khulaa siDhiyaan utarte hue
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasib se
be-vafaa tum baa-vafaa main dekhiye hotaa hai kyaa
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai
apnon ki chaahaton ne bhi kyaa kyaa diye fareb
rote rahe lipaT ke har ik ajnabi ke saath
fareb-khurda hai itnaa ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizaar baaqi hai
jo baa-khabar the vo dete rahe fareb mujhe
tiraa pata jo milaa ek be-khabar se milaa
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun