Shayari
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare koi
miri barbaadiyon kaa ham-nashino
tumhein kyaa khud mujhe bhi gham nahin hai
مری بربادیوں کا ہم نشینو
تمہیں کیا خود مجھے بھی غم نہیں ہے
मिरी बर्बादियों का हम-नशीनो
तुम्हें क्या ख़ुद मुझे भी ग़म नहीं है

tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare koi
taskin-e-dil-e-mahzun na hui vo sai-e-karam farmaa bhi gae
is sai-e-karam ko kyaa kahiye bahlaa bhi gae taDpaa bhi gae
Dubo di thi jahaan tufaan ne kashti
vahaan sab the khudaa kyaa naa-khudaa kyaa
yaa to kisi ko jurat-e-didaar hi na ho
yaa phir miri nigaah se dekhaa kare koi
ham arz-e-vafaa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yaan ham ne zabaan hi kholi thi vaan aankh jhuki sharmaa bhi gae
tumhin to ho jise kahti hai naakhudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Dubtaa huun main
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yaar kisi ke gham mein tum mar jaaoge
aur usi din main paagal ho jaaungaa
tere gham se to sukun miltaa hai
apne shoalon ne jalaayaa ham ko
udaas logon ke maathon ko chumte rahnaa
unhi ki vajh se bar-'aks ho gae tum log