Shayari
un ke khemon mein hain sab log kamar-basta magar
ham mein ghaflat ki hai bhar-maar khudaa khair kare
aaj 'azhar' se kyaa mile ho tum
phuul jaise khile khile ho tum
آج اظہرؔ سے کیا ملے ہو تم
پھول جیسے کھلے کھلے ہو تم
आज 'अज़हर' से क्या मिले हो तुम
फूल जैसे खिले खिले हो तुम

un ke khemon mein hain sab log kamar-basta magar
ham mein ghaflat ki hai bhar-maar khudaa khair kare
husn ki devi bani baiThi hain dil hai but-kada
chand muslim laDkiyon ne ham ko hindu kar diyaa
jab kamsin se ishq laDaanaa paDtaa hai
bachchon jaisaa paaTh paDhaanaa paDtaa hai
ik ghazal to mire haathon se misaali ho jaae
kaash ki tu miraa mahbub-e-khayaali ho jaae
tum chitaa in ki jalaao na karo dafn inhein
pyaar ke khat hain ye hindu yaa musalmaan nahin
har vaqt kase rahte hain maaon ki piiTh se
godi mein nahin khelte mazdur ke bachche
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
chaar jhonke jab chale ThanDe chaman yaad aa gayaa
sard aahein jab kisi ne liin vatan yaad aa gayaa
lachak hai shaakhon mein jumbish havaa se phulon mein
bahaar jhuul rahi hai khushi ke phulon mein
likhaa thaa ek takhti par koi bhi phuul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi
so jab vo baagh se guzri koi ukhDaa koi TuuTaa khizaan ke aakhiri din the