Shayari
ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bataa rahaa hai jhaTaknaa tiri kalaai kaa
zaraa bhi ranj nahin hai tujhe judaai kaa
بتا رہا ہے جھٹکنا تری کلائی کا
ذرا بھی رنج نہیں ہے تجھے جدائی کا
बता रहा है झटकना तिरी कलाई का
ज़रा भी रंज नहीं है तुझे जुदाई का

ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai
zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
aisi ghurbat ko khudaa ghaarat kare
phuul bhejvaane ki gunjaaish na ho
ye khubi hai ki naa-khubi magar main
alag chaltaa huun apne kaarvaan se
tiraa khayaal de gayaa hai aasraa kahin kahin
tiraa firaaq hausle baDhaa gayaa kabhi kabhi
na dasht o dar se alag thaa na jangalon se judaa
vo apne shahr mein rahtaa thaa phir bhi tanhaa thaa
zaraa si baat thi teraa bichhaDnaa
zaraa si baat se kyaa kuchh huaa hai
haath bhar duuri pe hai qismat ki chaabi aap ki
ek chhoTaa saa qadam aur kaamyaabi aap ki
tere firaaq ne ki zindagi ataa mujh ko
teraa visaal jo miltaa to mar gayaa hotaa