Shayari
vahin bahaar-ba-kaf qaafile lapak ke chale
jahaan jahaan tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
A
Aziz Tamannaijis ko chalnaa hai chale rakht-e-safar baandhe hue
ham jahaan-gasht hain uTThe hain kamar baandhe hue
جس کو چلنا ہے چلے رخت سفر باندھے ہوئے
ہم جہاں گشت ہیں اٹھے ہیں کمر باندھے ہوئے
जिस को चलना है चले रख़्त-ए-सफ़र बाँधे हुए
हम जहाँ-गश्त हैं उट्ठे हैं कमर बाँधे हुए
vahin bahaar-ba-kaf qaafile lapak ke chale
jahaan jahaan tire naqsh-e-qadam ubharte rahe
ab kaun si mataa-e-safar dil ke paas hai
ik raushani-e-subh thi vo bhi udaas hai
ye gham nahin ki mujh ko jaagnaa paDaa hai umr bhar
ye ranj hai ki mere saare khvaab koi le gayaa
un ko hai daavaa-e-asihaai
jo nahin jaante shifaa kyaa hai
mil hi jaaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
baaqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad
bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
makharab-e-kaar hui josh mein khud ujlat-e-kaar
pichhe haT jaaegi manzil mujhe maalum na thaa