Shayari
is shahr mein hai kaun hamaaraa tire sivaa
ye kyaa ki tu bhi apnaa kabhi ham-navaa na ho
jaane kyuun un se milte rahte hain
khush vo kyaa honge jab khafaa hi nahin
جانے کیوں ان سے ملتے رہتے ہیں
خوش وہ کیا ہوں گے جب خفا ہی نہیں
जाने क्यूँ उन से मिलते रहते हैं
ख़ुश वो क्या होंगे जब ख़फ़ा ही नहीं

is shahr mein hai kaun hamaaraa tire sivaa
ye kyaa ki tu bhi apnaa kabhi ham-navaa na ho
jaane kin mushkilon se jiite hain
kyaa karein koi mehrbaan na rahaa
ham milein yaa na milein phir bhi kabhi khvaabon mein
muskuraati hui aaeingi hamaari baatein
aisi begaanagi nahin dekhi
ab kisi kaa koi yahaan na rahaa
faasle aise ki ik umr mein tai ho na sakein
qurbatein aisi ki khud mujh mein janam hai us kaa
sailaab-e-zindagi ke sahaare baDhe chalo
saahil pe rahne vaalon kaa naam-o-nishaan nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
in aablon se paanv ke ghabraa gayaa thaa main
ji khush huaa hai raah ko pur-khaar dekh kar
tumhaare hisse ke jitne bhi gham hain main le luun
mire nasib ki har ik khushi mile tum ko
hamein shikva nahin ik dusre se
manaanaa chaahiye is par khushi kyaa
raah aasaan dekh kar sab khush the phir main ne kahaa
soch liije ek andaaz-e-nazar meraa bhi hai