Shayari
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
B
Baqaullah 'Baqa'bulbul se kahaa gul ne kar tark mulaaqaatein
ghunche ne girah baandhin jo gul ne kahin baatein
بلبل سے کہا گل نے کر ترک ملاقاتیں
غنچے نے گرہ باندھیں جو گل نے کہیں باتیں
बुलबुल से कहा गुल ने कर तर्क मुलाक़ातें
ग़ुंचे ने गिरह बाँधीं जो गुल ने कहीं बातें
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
ishq ne mansab likhe jis din miri taqdir mein
daagh ki naqadi mili sahraa milaa jaagir mein
chhoD kar kucha-e-mai-khaana taraf masjid ke
main to divaana nahin huun jo chalun hosh ki raah
ulfat mein tiri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hamein ik haath se taali kaa bajaanaa
is bazm mein puchhe na koi mujh se ki kyaa huun
jo shisha gire sang pe main us ki sadaa huun
kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab
aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
teraa ghar aur meraa jangal bhigtaa hai saath saath
aisi barsaatein ki baadal bhigtaa hai saath saath
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun