Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
yahaan ek bachche ke khuun se jo likhaa huaa hai use paDhein
tiraa kirtan abhi paap hai abhi meraa sajda haraam hai
یہاں ایک بچے کے خون سے جو لکھا ہوا ہے اسے پڑھیں
ترا کیرتن ابھی پاپ ہے ابھی میرا سجدہ حرام ہے
यहाँ एक बच्चे के ख़ून से जो लिखा हुआ है उसे पढ़ें
तिरा कीर्तन अभी पाप है अभी मेरा सज्दा हराम है

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
bachpan mein shauq se jo gharaunde banaae the
ik huuk si uThi unhein mismaar dekh kar
maan khush hai ki aakhir bachche siikh gae hain khush rahnaa
bachche khush hain siikh gae hain dard chhupaanaa achchhe se
nai bahron mein ye misron ke pech-o-kham banaataa hai
ye ghazlein an-ginat likhtaa hai bachche kam banaataa hai
abas hai un se ik chiDiyaa ke bachche ki vilaadat bhi
ki in fashion-zada ghar-vaaliyon se kuchh nahin hogaa
bachche meri ungli thaame dhire dhire chalte the
phir vo aage dauD gae main tanhaa pichhe chhuT gayaa