Shayari
dil jo detaa hai zaraa soch le anjaam ko bhi
un ki aankhon mein muravvat nahin kuchh naam ko bhi
B
Betab AzimabadilaD gai un se nazar khinch gae abru un ke
maarke ishq ke ab tir-o-kamaan tak pahunche
لڑ گئی ان سے نظر کھنچ گئے ابرو ان کے
معرکے عشق کے اب تیر و کماں تک پہنچے
लड़ गई उन से नज़र खिंच गए अबरू उन के
माअ'रके इश्क़ के अब तीर-ओ-कमाँ तक पहुँचे
dil jo detaa hai zaraa soch le anjaam ko bhi
un ki aankhon mein muravvat nahin kuchh naam ko bhi
asar na puchhiye saaqi ki mast aankhon kaa
ye dekhiye ki koi hoshyaar baaqi hai
taDap ke rah gai bulbul qafas mein ai sayyaad
ye kyaa kahaa ki abhi tak bahaar baaqi hai
kitne ilzaam aakhir apne sar
tum ne ghairon ko sar chaDhaa ke liye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein