Shayari
rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
dam ghanimat hai saaliko meraa
jaras-e-daur ki sadaa huun main
دم غنیمت ہے سالکو میرا
جرس دور کی صدا ہوں میں
दम ग़नीमत है सालिको मेरा
जरस-ए-दौर की सदा हूँ मैं

rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
jo chashm-e-dil-rubaa ke vasf mein ashaar likhtaa huun
to har har lafz par ahl-e-nazar ik saad karte hain
tum se ab kyaa kahein vo chiiz hai daagh-e-gham-e-ishq
ki chhupaae na chhupe aur dikhaae na bane
ye chalan hain to tumhein hashr se deinge tashbih
log saffaak kaheinge baDi rusvaai hai
baadbaanon mein bhari hai is ke kyaa baad-e-nafas
kashti-e-umr-e-ravaan ko taab langar ki nahin
vafaa par daghaa sulh mein dushmani hai
bhalaai kaa hargiz zamaana nahin hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de