Shayari
ham ko bechain kiye jaate hain
haae kyaa shai vo liye jaate hain
aaghaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhi sunaa hogaa
آغاز محبت سے انجام محبت تک
گزرا ہے جو کچھ ہم پر تم نے بھی سنا ہوگا
आग़ाज़-ए-मोहब्बत से अंजाम-ए-मोहब्बत तक
गुज़रा है जो कुछ हम पर तुम ने भी सुना होगा

ham ko bechain kiye jaate hain
haae kyaa shai vo liye jaate hain
ye bhigi raat ye ThanDaa samaan ye kaif-e-bahaar
ye koi vaqt hai pahlu se uTh ke jaane kaa
vaqt-e-rukhsat tasalliyaan de kar
aur bhi tum ne be-qaraar kiyaa
mai-e-kausar kaa asar chashm-e-siyah-faam mein hai
saaqi-e-mast ajab kaif tire jaam mein hai
main gharq ho rahaa thaa ki tufaan-e-ishq ne
ik mauj-e-be-qaraar ko saahil banaa diyaa
kyaa jaane kis khayaal se chhoDaa pa haal-e-zaar
mujh par baDaa karam hai mire chaarasaaz kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jis ki havas ke vaaste duniyaa hui aziiz
vaapas hue to us ki mohabbat khafaa mili
log kahte hain mohabbat mein asar hotaa hai
kaun se shahr mein hotaa hai kidhar hotaa hai
baal apne baDhaate hain kis vaaste divaane
kyaa shahr-e-mohabbat mein hajjaam nahin hotaa
apne dushman ko bhi mohabbat de
ishq ke daaere ko vusat de