Shayari
ham ko bechain kiye jaate hain
haae kyaa shai vo liye jaate hain
mai-e-kausar kaa asar chashm-e-siyah-faam mein hai
saaqi-e-mast ajab kaif tire jaam mein hai
مئے کوثر کا اثر چشم سیہ فام میں ہے
ساقیٔ مست عجب کیف ترے جام میں ہے
मय-ए-कौसर का असर चश्म-ए-सियह-फ़ाम में है
साक़ी-ए-मस्त अजब कैफ़ तिरे जाम में है

ham ko bechain kiye jaate hain
haae kyaa shai vo liye jaate hain
ye bhigi raat ye ThanDaa samaan ye kaif-e-bahaar
ye koi vaqt hai pahlu se uTh ke jaane kaa
vaqt-e-rukhsat tasalliyaan de kar
aur bhi tum ne be-qaraar kiyaa
aaghaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhi sunaa hogaa
main gharq ho rahaa thaa ki tufaan-e-ishq ne
ik mauj-e-be-qaraar ko saahil banaa diyaa
kyaa jaane kis khayaal se chhoDaa pa haal-e-zaar
mujh par baDaa karam hai mire chaarasaaz kaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
uThe uTh kar chale chal kar thame tham kar kahaa hogaa
main kyuun jaaun bahut hain un ki haalat dekhne vaale
ilaahi kyaa ilaaqa hai vo jab letaa hai angDaai
mire siine mein sab zakhmon ke Taanke TuuT jaate hain
kaun is rang se jaame se huaa thaa baahar
kis se sikhaa tiri talvaar ne uryaan honaa