Shayari
dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
shaam ki chaae un ke saath piyun
dil ki hasrat bahut puraani hai
شام کی چائے ان کے ساتھ پیوں
دل کی حسرت بہت پرانی ہے
शाम की चाय उन के साथ पियूँ
दिल की हसरत बहुत पुरानी है

dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
dekho darakht kaaTne se pahle ek baar
in sabz Tahniyon pe koi ghonsla na ho
mujh ko saphaltaa baiThe biThaae nahin mili
main ne guhar talaashe hain dariyaa khangaal kar
maraasim barf mein dabne na paaein
qarib aao december aa rahaa hai
kar ke taarif vo miri jhuTi
zahr dhimaa chaTaa gayaa hai mujhe
shaairi naam tasavvur mein chhalakti mai kaa
mar hi jaate jo na piine ki ijaazat hoti
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein