Shayari
maslahat-aamez hote hain siyaasat ke qadam
tu na samjhegaa siyaasat tu abhi naadaan hai
tumhaare paaon ke niche koi zamin nahin
kamaal ye hai ki phir bhi tumhein yaqin nahin
تمہارے پاؤں کے نیچے کوئی زمین نہیں
کمال یہ ہے کہ پھر بھی تمہیں یقین نہیں
तुम्हारे पावँ के नीचे कोई ज़मीन नहीं
कमाल ये है कि फिर भी तुम्हें यक़ीन नहीं

maslahat-aamez hote hain siyaasat ke qadam
tu na samjhegaa siyaasat tu abhi naadaan hai
ek qabristaan mein ghar mil rahaa hai
jis mein tah-khaanon se tah-khaane lage hain
azmat-e-mulk is siyaasat ke
haath nilaam ho rahi hai ab
in ThiThurti ungliyon ko is lapaT par seink lo
dhuup ab ghar ki kisi divaar par hogi nahin
kaise aakaash mein suraakh nahin ho saktaa
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaaro
tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul saa thartharaataa huun
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad