Shayari
yahi sab log hain in sab ne miraa qatl kiyaa
ye miri qabr ko phulon se sajaane vaale
kisi fard-e-mohabbat se bhalaa ummid kyaa rakhnaa
mohabbat bevafaa thi bevafaa hai bevafaa hogi
کسی فرد محبت سے بھلا امید کیا رکھنا
محبت بے وفا تھی بے وفا ہے بے وفا ہوگی
किसी फ़र्द-ए-मोहब्बत से भला उम्मीद क्या रखना
मोहब्बत बेवफ़ा थी बेवफ़ा है बेवफ़ा होगी

yahi sab log hain in sab ne miraa qatl kiyaa
ye miri qabr ko phulon se sajaane vaale
pahle tamaam shahr ko sahraa banaaeinge
phir vahshaton ki ret pe soyaa kareinge ham
taa-umr tifl-e-dil pe yatimi kaa karb thaa
koshish to ki magar main kabhi maan na ban sakaa
main apne aap kaa sab se baDaa mukhaalif huun
miri hi tarah kaa ik shakhs aur hai mujh mein
taarik saraabon ki chakaa-chaund mein gum-sum
thaa sakht musalmaan main imaan se pahle
bahtaa rahaa main saahil-e-duniyaa ki ret par
aakhir badan ki khaak sameTi to ghar gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se
bulaa rahi hai kisi laala ki mahak mujh ko
khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam
phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamaare darmiyaan ye faasle, kaise nikal aae
vasl hai un ki adaa hijr hai un kaa andaaz
kaun saa rang bharun ishq ke afsaanon mein