Shayari
bahut qadim nahin kal kaa vaaqia hai ye
main is zamin pe utraa thaa teri zaat ke saath
main apni khushiyaan akele manaayaa kartaa huun
yahi vo gham hai jo tujh se chhupaa huaa hai miraa
میں اپنی خوشیاں اکیلے منایا کرتا ہوں
یہی وہ غم ہے جو تجھ سے چھپا ہوا ہے مرا
मैं अपनी ख़ुशियाँ अकेले मनाया करता हूँ
यही वो ग़म है जो तुझ से छुपा हुआ है मिरा

bahut qadim nahin kal kaa vaaqia hai ye
main is zamin pe utraa thaa teri zaat ke saath
khalaa mein girvi rakkhaa apne saare khvaabon ko
aur is zamin pe chhoTaa saa ghar liyaa main ne
teri hi sair ke liye aataa rahungaa baar baar
teraa thaa saat din kaa shauq meri hai umr bhar ki sair
bas yahi soch ke rahtaa huun main zinda is mein
ye mohabbat hai koi mar nahin saktaa is mein
vo kyaa khushi thi jo dil mein bahaal rahti thi
magar vajh nahin banti thi muskuraane ki
main us ko khvaab mein kuchh aise dekhaa kartaa thaa
tamaam raat vo sote mein muskuraati thi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
maqsad-e-zist gham-e-ishq hai sahraa ho ki shahr
baiTh jaaeinge jahaan chaaho biThaa do ham ko
tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gungunaa rahi hai
tumhaari paazeb kaa vo naghma fazaa mein ab tak khanak rahaa hai
shuur-e-nau-umr huun na mujh ko mataa-e-ranj-o-malaal denaa
ki mujh ko aataa nahin ghamon ko khushi ke saanchon main Dhaal denaa