Shayari
jab se us ki aankh mein aansu dekhe hain
tab se mujh ko paani se Dar lagtaa hai
mujhe Thukraa diyaa tu ne faqat shaair samajh kar aaj
miri nazmein tire bachche syllabus mein paDhein to phir
مجھے ٹھکرا دیا تو نے فقط شاعر سمجھ کر آج
مری نظمیں ترے بچے سلیبس میں پڑھیں تو پھر
मुझे ठुकरा दिया तू ने फ़क़त शाइ'र समझ कर आज
मिरी नज़्में तिरे बच्चे सिलेबस में पढ़ें तो फिर

jab se us ki aankh mein aansu dekhe hain
tab se mujh ko paani se Dar lagtaa hai
ai mohabbat mujh ko aisaa hausla khairaat kar
us ko baazu se pakaD kar kah sakun ki baat kar
main shahr mein tanhaa hi use DhunD rahaa huun
jo sab se chhupaai thi vahi chiiz gumi hai
vo chaahtaa hai mahina kaTe na jaldi se
kiraae-daar ke dukh bhi ajiib hote hain
kabhi kabhi to mujhe daad itni milti hai
ki saare ghar kaa guzaara usi se hotaa hai
rasmon ko nahin pairon ki zanjir kiyaa
main ne jo mahsus kiyaa tahrir kiyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
subh-saveraa daftar biivi bachche mahfil nindein raat
yaar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasaani par
totli umr mein jo bachcha zaraa mushfiq thaa
kuchh baDaa ho ke dahaane pe na pahunchaa aakhir
ik manzar mein peD the jin par chand kabutar baiThe the
ik bachche ki laash bhi thi jis ke kandhe par bastaa thaa
koi le le fauran us ke haath se ghubbaare saare
ek bachcha jaane kab se muskuraanaa chaahtaa hai
gayaa bachpan shabaab aayaa buDhaapaa aane vaalaa hai
magar main to abhi tak aap ko bachcha samajhtaa huun