Shayari
band ho jaataa hai kuuze mein kabhi dariyaa bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jaataa hai
subh hoti hai to daftar mein badal jaataa hai
ye makaan raat ko phir ghar mein badal jaataa hai
صبح ہوتی ہے تو دفتر میں بدل جاتا ہے
یہ مکاں رات کو پھر گھر میں بدل جاتا ہے
सुब्ह होती है तो दफ़्तर में बदल जाता है
ये मकाँ रात को फिर घर में बदल जाता है

band ho jaataa hai kuuze mein kabhi dariyaa bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jaataa hai
main us ki baaton mein gham apnaa bhuul jaataa magar
vo shakhs rone lagaa khud hansaa hansaa ke mujhe
is tamaashe kaa sabab varna kahaan baaqi hai
ab bhi kuchh log hain zinda ki jahaan baaqi hai
jo duur rah ke uDaataa rahaa mazaaq miraa
qarib aayaa to royaa gale lagaa ke mujhe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa
ham ibtidaa hi mein pahunche the intihaa ko kabhi
ab intihaa mein bhi hain ibtidaa se lipTe hue
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kis darja mire shahr ki dilkash hai fazaa bhi
maanus har ik chiiz hai miTTi bhi havaa bhi
gila kis se karein aghyaar-e-dil-aazaar kitne hain
hamein maalum hai ahbaab bhi gham-khvaar kitne hain
ise shaairi na jaano ye hai meri aap-biti
main ne likh diyaa hai dil kaa sabhi haal chalte chalte
main is se qimti shai koi kho nahin saktaa
'adil' maan ki jagah koi ho nahin saktaa