Shayari
misaal-e-shama jalaa huun dhuaan saa bikhraa huun
main intizaar ki har kaifiyat se guzraa huun
mire vajud ko parchhaaiyon ne toD diyaa
main ik hisaar thaa tanhaaiyon ne toD diyaa
مرے وجود کو پرچھائیوں نے توڑ دیا
میں اک حصار تھا تنہائیوں نے توڑ دیا
मिरे वजूद को परछाइयों ने तोड़ दिया
मैं इक हिसार था तन्हाइयों ने तोड़ दिया

misaal-e-shama jalaa huun dhuaan saa bikhraa huun
main intizaar ki har kaifiyat se guzraa huun
safed-poshi-e-dil kaa bharam bhi rakhnaa hai
tiri khushi ke liye teraa gham bhi rakhnaa hai
ab kaun jaa ke saahib-e-mimbar se ye kahe
kyuun khuun pi rahaa hai sitamgar sharaab pi
puraane yaar bhi aapas mein ab nahin milte
na jaane kaun kahaan dil lagaa ke baiTh gayaa
zindagi ho to kai kaam nikal aate hain
yaad aaungaa kabhi main bhi zarurat mein use
tum kabhi ek nazar meri taraf bhi dekho
ik tavaqqo hi to hai koi guzaarish to nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chalaa hai chhoD ke tanhaa kidhar tasavvur-e-yaar
shab-e-firaaq mein thaa tujh se mashghala dil kaa
kyaa koi dil lagaa ke kahe sher ai 'qalaq'
naaqadri-e-sukhan se hain ahl-e-sukhan udaas
aalaam-e-rozgaar ko aasaan banaa diyaa
jo gham huaa use gham-e-jaanaan banaa diyaa