Shayari
aaThon pahr lahu mein nahaayaa kare koi
yuun bhi na apne dard ko dariyaa kare koi
kis dard se raushan hai siyah-khaana-e-hasti
suraj nazar aataa hai hamein raat gae bhi
کس درد سے روشن ہے سیہ خانۂ ہستی
سورج نظر آتا ہے ہمیں رات گئے بھی
किस दर्द से रौशन है सियह-ख़ाना-ए-हस्ती
सूरज नज़र आता है हमें रात गए भी

aaThon pahr lahu mein nahaayaa kare koi
yuun bhi na apne dard ko dariyaa kare koi
zahr miThaa ho to piine mein mazaa aataa hai
baat sach kahiye magar yuun ki haqiqat na lage
dasht-e-tanhaai mein jiine kaa saliqa sikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaaeinge
bose biivi ke hansi bachchon ki aankhein maan ki
qaid-khaane mein giraftaar samajhiye ham ko
koi manzil aakhiri manzil nahin hoti 'fuzail'
zindagi bhi hai misaal-e-mauj-e-dariyaa raah-rau
ghar se baahar nahin niklaa jaataa
raushni yaad dilaati hai tiri
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
hindu se puchhiye na musalmaan se puchhiye
insaaniyat kaa gham kisi insaan se puchhiye
is naghmagi kaa thoDaa gunah-gaar main bhi huun
mujh se bhi is jahaan mein halchal rahi hai dost
meri chaadar to chhini thi shaam ki tanhaai mein
be-ridaai ko miri phir de gayaa tashhir kaun