Shayari
mere siine se nikaalo miri buniyaad ki jaan
itni aasaani se viraan nahin hotaa main
is naghmagi kaa thoDaa gunah-gaar main bhi huun
mujh se bhi is jahaan mein halchal rahi hai dost
اس نغمگی کا تھوڑا گنہگار میں بھی ہوں
مجھ سے بھی اس جہان میں ہلچل رہی ہے دوست
इस नग़मगी का थोड़ा गुनह-गार मैं भी हूँ
मुझ से भी इस जहान में हलचल रही है दोस्त

mere siine se nikaalo miri buniyaad ki jaan
itni aasaani se viraan nahin hotaa main
ham ko vaise bhi koi kaam nahin aataa hai
aur ye kaam haqiqat ko fasaana karnaa
ab ye pathraai hui aankhein liye phirte raho
main ne kab tum se kahaa thaa mujhe itnaa dekho
saare naakaam-e-tamannaa mire dil tak aa jaaein
aaj vo kaam kareinge ki jo hone kaa nahin
vo ye kahte hain sadaa ho to tumhaare jaisi
is kaa matlab to yahi hai ki pukaare jaao
vo to bachchon ki patangon ne use gher liyaa
varna chupke se nikal jaati bahaar aai hui
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kaun saa dard utar aayaa hai tahriron mein
saare alfaaz janaaze ki tarah lagte hain
mujh ko thi mahfilon ki bahut aarzu magar
tanhaaiyon ke khauf se tanhaa rahaa huun main
tez baarish mein kahin duur saDak par baiThe
ham tire chhoD ke jaane kaa sabab sochte hain