Shayari
bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
aasmaan kahte hain jis ko vo zamin-e-sher hai
maah-e-nau misraa hai vasf-e-abru-e-khamdaar mein
آسماں کہتے ہیں جس کو وہ زمین شعر ہے
ماہ نو مصرع ہے وصف ابروئے خم دار میں
आसमाँ कहते हैं जिस को वो ज़मीन-ए-शेर है
माह-ए-नौ मिस्रा है वस्फ़-ए-अबरू-ए-ख़मदार में

bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
har gaam pe hi saae se ik misraa-e-mauzun
gar chand qadam chaliye to kyaa khuub ghazal ho
vo tifl-e-nusairi aae shaayad
qasmein duun murtazaa-ali ki
khaar chubh kar jo TuTtaa hai kabhi
aabla phuuT phuuT rotaa hai
apne sivaa nahin hai koi apnaa aashnaa
dariyaa ki tarah aap hain apne kanaar mein
saare quraan se us pari-ru ko
yaad ik lafz-e-lan-taraani hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tum inhein baarishein samajhte ho
ham ne rone kaa tajraba kiyaa hai
tujh se main jang kaa elaan bhi kar hi dungaa
mere dushman tu mire qad ke baraabar to aa
mujhe dard ki baarishon mein bahaa kar
vo rahnaa tiraa be-khabar yaad aayaa
shajar ki yaad rulaati hi thi magar ab to
jo aashiyaan ke baraabar thaa vo qafas bhi gayaa
aakhri bas hai aur nikalne vaali hai
aa jaao ik seat baraabar khaali hai