Shayari
har gaam pe hi saae se ik misraa-e-mauzun
gar chand qadam chaliye to kyaa khuub ghazal ho
bijli chamki to abr royaa
yaad aa gai kyaa hansi kisi ki
بجلی چمکی تو ابر رویا
یاد آ گئی کیا ہنسی کسی کی
बिजली चमकी तो अब्र रोया
याद आ गई क्या हँसी किसी की

har gaam pe hi saae se ik misraa-e-mauzun
gar chand qadam chaliye to kyaa khuub ghazal ho
aasmaan kahte hain jis ko vo zamin-e-sher hai
maah-e-nau misraa hai vasf-e-abru-e-khamdaar mein
vo tifl-e-nusairi aae shaayad
qasmein duun murtazaa-ali ki
khaar chubh kar jo TuTtaa hai kabhi
aabla phuuT phuuT rotaa hai
apne sivaa nahin hai koi apnaa aashnaa
dariyaa ki tarah aap hain apne kanaar mein
saare quraan se us pari-ru ko
yaad ik lafz-e-lan-taraani hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
khalvat-e-ummid mein raushan hai ab tak vo charaagh
jis se uThtaa hai qarib-e-shaam yaadon kaa dhuaan
vo mire kaase mein yaadein chhoD kar yuun chal diyaa
jis tarah alfaaz jaate hon muaani chhoD kar
kabhi kitaabon mein phuul rakhnaa kabhi darakhton pe naam likhnaa
hamein bhi hai yaad aaj tak vo nazar se harf-e-salaam likhnaa
pichhle janam kaa koi ta'alluq thaa us ke saath
dekhe baghair mujh ko khad-o-khaal yaad the
vafaadaari ghurur-e-be-rukhi ko khatm kar degi
ziyaada to nahin kuchh din rahein vo bad-gumaan shaayad