Shayari
kahun ki shaikh-e-zamaana huun laaf to ye hai
main apne but kaa barahman huun saaf to ye hai
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadikarun qat-e-ulfat buton se va-lekin
ye kaafir miraa dil nahin maantaa hai
کروں قطع الفت بتوں سے ولیکن
یہ کافر مرا دل نہیں مانتا ہے
करूँ क़त्-ए-उल्फ़त बुतों से व-लेकिन
ये काफ़िर मिरा दिल नहीं मानता है
kahun ki shaikh-e-zamaana huun laaf to ye hai
main apne but kaa barahman huun saaf to ye hai
ishq mein dard se hai hurmat-e-dil
chashm ko aabru hai aansu se
shab-e-hijr mein ek din dekhnaa
agar zindagi hai to mar jaaeinge
kabhi haath bhi aaegaa yaar sach kah
yaa yunhi tu baatein banaataa rahegaa
na tu jaldi kar ai dast-e-junun naaseh ko siine de
bahaar aa pahunchi ab koi Thaharte hain rafu is ke
yaar gar puchhe to kiije kuchh arz
baat par baat kahi jaati hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa
ham sanam dam tire ishq kaa bhar gae
jal gae bhun gae kaT gae mar gae